Ye kitabon k qissay,
fasano ki batein,
Nigahon ki jhilmil,
judai ki ratein,
Muhabbat ki qasmein nibhane k wade,
Ye dhoka wafa ka, ye jhoote iraade,
Ye batein kitabi ye nazmein purani,
Na inki haqiqat na inki kahani,
Na likhna inhe,
na mehfooz karna, Ye jazbay hain bas inko mehsoos karna ..
0 comments:
Post a Comment